Tumhi socho kya kabhi mumkin tha gunga bolta, sar pe tera hath na hota to wo par tolta. Isko nasamjhee kahein ya apki nadaniyan, jaldi kardi apne warna wo patte kholta. Apki shehne usse pohcha diya akhir kahan, warna kya aokat thi keemat wo meri molta. Ger yakin hota mujhe mill jaigi manzil mujhe, bech rastein mein bata kyun sath tera chodhta. Or ger teri neeyat mein koi khot na dikhti mujhe, apne baazu se mai apne par bhala kyun todhta. Ger zara see bhi muhaubat hoti tujhse zindagi, mai dua mein jaanke apne zeher kyun mangta.
Saad………..
No comments:
Post a Comment