Bujhaane Ko Wo Chiraagh Hawa Maang Raha Hai.
Jo Maghferat Ki Apne Duaa Maang Raha Hai.
Is Daure Hukumat Me Kya Meyaare Zulm Hai.
Jisko Bhi Dekhiye Wo Qazaa Mang Raha Hai.
Ek Nannha Sa Bachcha Uthaie Haath Duaa Me.
Allah Se Ek Achhchhi Fazaa Maang Raha Hai.
Kya Khoob Ham Ne Chun Ke Banaayaa Tha Saajhedaar.
Jo Ghaate ke Saude Me Nafa Maang Raha Hai.
Doojo Ko Dard Dena Hi Shewaa Tha Jiska Kal.
Wo Apni Dawaaon Me Shifa Maang Raha Hai.
saad....
No comments:
Post a Comment