Dil se uska khayaal na jaye tou kya karoon,
Tu bata wo yaad aaye tou kya karoon,
Hasratein ye hain ki ek nazar usse dekh loon,
Magar kismat wo lamha na laye tou kya karoon,
Hum apni jaan se bhi jayaada chahte hain usse,
Par wo humse wafa he na nibhaye tou kya karoon,
Usse dekhne ki khatir Kab se betaab hain meri aankhein,
Magar samne aakar bhi wo nazrein churaye tou kya karoon,
Kaise bataein ki aadha hee dil hai mere paas,
Dil leke mera koi itna sataye tou kya karoon,
Bewafaee ka bhi zara sulook dekho yaaron,
Muddaton se hoon pyaasa wo mahaz oos chataye tou kya karoon,
Iss umr mein bhi maa mujhe goad mein sulaati hai,
Khilaafat karne par bhi na bhagaye tou kya karoon,
Khataein kuchh aisi hueen hain saad ki jeena nahi chahta,
Par ilahi bhi apne paas na bulaye tou kya karoon...
saad....
Tuesday, 19 April 2011
Dil se uska khayaal na jaye tou kya karoon..
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment