Sunday, 24 July 2011

Seene Se Jo Imaa Ki Rawaani Nikal Gaie.....

Seene se jo imaa ki rawaani nikal gaie,
Purkhon ki haath se wo nishani nikal gaie,
Unwaan dhoodhne mein huie der is qadar,
Hathon se ek pukhta kahani nikal gaie.
Fursat unnhe milli bhi to kis waqt dekhiye,
Jab rooh se badan se jawani nikal gai.
Muddat ke baad unse mulaqaat jo huie,
Le de ke baat phir wo puraani nikal gaie.
Ab haath milate hain wo her ek se dekho,
Jabse miyan ke ghar se pardhani nikal gaie.
Maqsad hi shaaieri ka khatam ho gaya saad,
Jab zehen se wo shokhh seyaani nikal gaie......
saad....

Sunday, 17 July 2011

Aaj Ki Raat Na Youn Besabab Guzar Jai........

Aaj ki raat na youn besabab guzar jai, neend aankhon mein rahe or sahar guzar jai.
khushnaseebi hai hamari ye Shab mile humko, Dua karo k duaaon mein ye Shab guzar jai.
Koi dauraane Ebaadat na khalal daale khuda, Tilawaton mein Namazon mein Shab guzar jai.
Nafil ho ya ho Tahajjud, Darood O hamdo sana, Saad aj ebaadat ki had guzar jai.
Shabeqadar ki ye mubarak raat aap ko bahut bahut mubarak ho....
saad...