Saturday, 23 April 2011

Chand sanse zindagi ki or ye gustakiyan......

Chand sanse zindagi ki or ye gustakiyan , do ghadi rehne ki khatir iskadar taiyariyan, or darasal duniyan unko hi jhuk kar karti hai salam, jeet kar bhi jo haar jaate hain apni baziyan, or kya hua hasil wafa mein ake mujhe dekhiye, thokarein, badnamiyan, tanhaiyan, ruswayiyan. Or koi kaam bhi to apke baska nahi, bas nikala kijiye din raat hum mein khamiyan. Or ek chingari ki takat hai andaza tumhein, jhund mein ayeingi jab socho zara ye chingariyan. Gairon ko bakshi gayi shohrat, bulandi namon zar, mere hisse mein fakat barbadiyan nakamiyan. Or tum yahi to chahte the band rakhun mai apni zuban, ab jo mai khamosh huin dasti hai kyun khamoshiyan. Jee to karta hai laga duin aag duniyan ko saad, mujhse dekhi nahi jaati zindagi ki tanhaiyan….
Saad……….

No comments:

Post a Comment