Monday, 11 April 2011

..... BACHPAN....

..... BACHPAN.....
Wo bhi kya BACHPAN ka ZAMANA tha,
Khushiyo se labrez kimti khazana tha.
Hasratein huaa karti thi Chand ko pane ki,
Par ye kambakht DIL Titlion ka Diwana tha,
Khabar na thi kuch Shabeeh zehra ki,
Aur na shar-e-sham ka thikana tha,
Thak-har Ke aate the dophar ko makhtab se,
Par sham hote he khelne bhi jana tha,
Daadi kisse sunaya karti thi raaton ko,
Fir khabon mein pariyon ka bhi fasana tha,
Barish me kheya karte the kagaz ki kashti,
Har dil aziz wo Mousam kitna suhana tha,
Saare khel me saathi aate the,
Uspar bhi har rishta nibhana tha,
Nahi hoti thi gham ki jubaan,
Na he koi zakhmo ka paimana tha,
Rone ki wajah nahi hoti thi huzoor,
Aur na he miyaan hasne ka bahana tha,
Jane kahan kho gayi hai wo Zindagi,
Sun aye saad wo bhi kya BACHPAN ka ZAMANA tha....
saadul aziz

No comments:

Post a Comment