Thursday, 15 November 2012

Aaj Fir Se Un Raasto Ko Dekha To Guzra Zamaana Yaad Aa Gaya..

Aaj Fir Se Un Raasto Ko Dekha To Guzra Zamaana Yaad Aa Gaya
Yaad Aa Gayi Teri Yaadein Tera Har Ek Fasana Yaad Aa Gaya
Aankhon K Saamne Se Hokar Guzra Beeta Hua Manzar
Tere Diye Huye Zakhmo Ka Nazraana Yaad Aa Gaya
Humein Shauk-E-Dard Hua Tha Jo Tujh Se Dil Lagaya
Dil Jo Tuta Mera To Mere Dard Par Tera Muskurana Yaad Aa Gaya
Tum Waapas Na Laut Sake Fir Se Apne Safar Ko
Shaam Huyi To Parindon Ko Bhi Apna Thikana Yaad Aa Gaya
Yaha Wafa Bikti Hai Ye Shehar Naye Andaaz Waala Hai
Jo Kisi Ko Wafa Karte Dekha To Shehar Wo Purana Yaad Aa Gaya
Aaj Bazaar Mein Muflison Ki Bebasi Dekhi
Ghar Ko Laute To Teri Bebasi Ka Har Ek Bahana Yaad Aa Gaya
Mausam Mein Rangat Aayi To Ujad Gaya Chaman
Mujhe Bhi Mere Khwabon Ka Ujada Hua Aashiyaana Yaad Aa Gaya
Jab Thukrayenge Tujhe Tere Dil-E-Azeez
Tu Bhi Kisi Din Kahegi Zamaane Se
Mujhe Mera Wo Deewana Yaad Aa Gaya....

1 comment: