Thursday, 4 August 2011

Meri Hasti Mitana Chahtaa Hai....

Meri hasti mitaana chahta hai, mujhe khud mein samana chahta hai,
takaza dosti ka rakhk k mujh pe, kasam jhooti khilana chahta hai,
duan mein jise manga tha tune, usse tu kyun gawana chahta hai.
usee se hai tumhe kitni shikayat, jisee sara zamana chahta hai,
sukun-e-dil ki khatir kutch to bolo, k dil bhi aab-o-dana chahta hai.
na pucho nazuki uske badan ki, jo shabnam se nahana chahta hai.
saad ab usse ja k tumhi pocho, kyun nahaq khhoo bahana chahta hai....
saad....

No comments:

Post a Comment