Wednesday, 8 June 2011

Deewaangi Me Kya Kya Farmaa Rahe Hain Aap..

Deewaangi Me Kya Kya Farmaa Rahe Hain Aap,
Qasme Na Jane Kaise ye Khaa Rahe Hain Aap.
Na Jaane Zulm  Itna Kyon Dhaa Rahe Hain Aap,
Shishe Se Paththaron Ko Takra Rahe Hain Aap.
Kaahil Bane Rahen Ham Bas Isliye Hi Shaayad,
De De Ke Bheekh Ham Ko Parka Rahe Hain Aap.
Ilzaam Rakh Rahe Hain Ham Doosron K Sar Pe,
Jab K Hamaari Botal Sarkaa Rahe Hain Aap.
Anshan K Bahane Se Yogaa K Thhikane Se,
Mahaul Mulk Ka Phir Garmaa Rahe Hain Aap.
Pahle To Ladkiyon Ke Kapde Pahan K Bhage,
Ab Poochhne Pe Sab k Sharmaa Rahe Hain Aap.
Sach Kya Hai Media Ne Sab Ko Dikha Diya Hai,
Phir Bhi Saad Sab Ko Bharma Rahe Hain Aap.  
Saad....

No comments:

Post a Comment